Tumhara jana ab mera jana ho gya hai. Tumhara jana aur mujhe na batana, Mujhe bebas kar gya hai,tula gaya hai. Tumhara jana ab mera bhi jana ho gya hai. Yad aane lgi hain tumhara-hamari baten, Ruthna manana tumhara yad aa raha hai. Tumhari har kasam yad aa rahi hai mujhe, Tumhara jana ab mera bhi jana ho gaya hai Tum hi toh aankhen the meri Chhavi tumhi Tumhi toh Shari the mere kaha the tumhi Tumhi toh meri baten the shikayat tumhi Tumhara jana ab mera bhi jana ho gya hai. Ab jab tum kabhi aaoge bhul se hi kabhi, Ab jab tum mujh taq aaoge bhul se kabhi. Tum bahut pachhtaoge mujhe na pa paoge, Tumhara jana ab mera bhi jana ho gya hai.