Posts

Ye manjhi

Ye manjhi tu le chal mujhe aisichhanvmain. Jahan Na Koi Nafrat Ho aur Na Koi Kisi Se Swagat Ho Le Chal Mujhe Aise Gaon Mein.
Har Taraf akelapan hai aur ek , Ajeeb sa daravana sannata hai. Insan Jo Karta Tha apni manmarji, Yah Uske Munh per Kudrat Ka chalta hai. Jab tak Ishwar chup Rehta Hai, Kab tak hi vah chup rahata hai. Jitne Mayajaal bichhaye Hain usne, Ek Din vah Sab Har leta hai. Ham Ishwar Ke banae putle Hain. In putlon ko putle hi rahne do yaro, Tum tab taq hi sab kar paoge jab taq, Upar wala rahmat me rakhta hai yaro. Tum apni marzi karte karte , Apni hi dhun me apne ko hi bhul gye. Ye bhul gye ki tum nar ho vah narayan, Tum insan ho kaise tum yah bhul gye. Tinka-tinka jod-jodkar tumne gharbanvaya, Rang-Rogan karke use niwas banaya, Thak-thak karke sonar ki sau thokar , Lohar vah Ishwar hai vah Makan giraya.   Mat uljho us prakrati se jo sab deti hai, Khana-pina dekar prem se vah seti hai  Us prakrati ko hi jab chanachur karoge, Toh kaise kudarat ka war tum sahoge.

Tumhara jana

Tumhara jana ab mera jana ho gya hai. Tumhara jana aur mujhe na batana, Mujhe bebas kar gya hai,tula gaya hai. Tumhara jana ab mera bhi jana ho gya hai. Yad aane lgi hain tumhara-hamari baten, Ruthna manana tumhara yad aa raha hai. Tumhari har kasam yad aa rahi hai mujhe,  Tumhara jana ab mera bhi jana ho gaya hai Tum hi toh aankhen the meri Chhavi tumhi Tumhi toh Shari the mere kaha the tumhi Tumhi toh meri baten the shikayat tumhi Tumhara jana ab mera bhi jana ho gya hai. Ab jab tum kabhi aaoge bhul se hi kabhi, Ab jab tum mujh taq aaoge bhul se kabhi. Tum bahut pachhtaoge mujhe na pa paoge, Tumhara jana ab mera  bhi jana ho gya hai.